chāñd kī kashtī sajī hai aur maiñ
jhiil hai ik jal-parī hai aur maiñ
lau diye kī siskiyāñ letī huī
TimTimātī raushnī hai aur maiñ
dhuup qarnoñ kī masāfat se niDhāl
tez lamhoñ kī nadī hai aur maiñ
gosh-bar-āvāz haiñ dīvār-o-dar
be-vazāhat naġhmagī hai aur maiñ
phir usī āvāz kā mauhūm aks
phir vahī harf-e-ḳhafī hai aur maiñ
ilm kā sahrā hai tā-hadd-e-nazar
ik musalsal tishnagī hai aur maiñ
phir vahī be-nām pāgal ḳhvāhisheñ
phir vahī andhī galī hai aur maiñ
bikhre bikhre ḳhvāb haiñ mere liye
reza reza zindagī hai aur maiñ
niiñd se bojhal haiñ palkeñ raat kī
ik adhūrī Diary hai aur maiñ