Nusrat Gwaliari

shafaq ka rang ka KHushbu ka KHwab tha main bhi

Nusrat Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1938
shafaq kā rañg kā ḳhushbū kā ḳhvāb thā maiñ bhī
parā.e haath meñ koī gulāb thā maiñ bhī
na jaane kitne zamāne mire vajūd meñ the
ḳhud apnī zaat meñ ik inqalāb thā maiñ bhī
kahāniyāñ to bahut thiiñ magar likhī na ga.iiñ
kisī ke haath meñ saada kitāb thā maiñ bhī
na jaane kyuuñ nazar-andāz kar diyā mujh ko
jahāñ pe tum the vahīñ dastiyāb thā maiñ bhī
añdhere bone kā un ko junūn thā jaise
chamak meñ apnī jagah āftāb thā maiñ bhī
tumhī nahīñ the samundar ke pāniyoñ kī tarah
kabhī sukūn kabhī iztirāb thā maiñ bhī
na pūchho kitnā mazā guftugū meñ aayā hai
zahīn vo bhī thā hāzir-javāb thā maiñ bhī
Top Urdushayar.com