Nusrat Gwaliari

naqsh-e-pa uske rasta us ka

Nusrat Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1938
naqsh-e-pā us ke rāsta us kā
muḌ ke dekhā to kuchh na thā us kā
mubtalā kar gayā azāboñ meñ
ek kamzor faisla us kā
iḳhtiyārāt kam na the mere
maiñ ne chāhā nahīñ burā us kā
kaam to aur hī kisī kā thā
naam bad-nām ho gayā us kā
log jis zahr se halāk hue
kitnā mīThā thā zā.iqa us kā
jo mirī haar par bahut ḳhush thā
ab hai ḳhud se muqābla us kā
raah kī zulmatoñ se manzil tak
ik ujālā hai hausla us kā
kaun jaane vo kyuuñ bhaTaktā rahā
us ko to yaad thā patā us kā
us ke qātil baḌī aqīdat se
pūjte haiñ mujassama us kā
toḌ kar mujh se rishta-e-ummīd
kitnā nuqsān ho gayā us kā
ġhalatī ho ga.ī samajhne meñ
chāhtā thā maiñ fā.eda us kā
Top Urdushayar.com