Nusrat Gwaliari

jhil ke par dhanak-rang saman hai kaisa

Nusrat Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1938
jhiil ke paar dhanak-rañg samāñ hai kaisā
jhilmilātā huā vo aks vahāñ hai kaisā
jalte bujhte hue fānūs haiñ manzar manzar
naqsh-dar-naqsh vo miT kar bhī ayaañ hai kaisā
kitne alfāz-o-ma.ānī ke varaq khulte haiñ
mere andar ye kitāboñ kā jahāñ hai kaisā
mujh meñ ab merī jagah aur koī hai shāyad
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye gumāñ hai kaisā
shahr se lauT ke ghar qarz chukānā hai mujhe
kaise likkhūñ ki mirā haal yahāñ hai kaisā
kis ne Daalī hai fazāoñ pe ye mailī chādar
shab ke māthe pe lahū-rañg nishāñ hai kaisā
muTThiyāñ bhej ke ham log rahe haiñ kab se
duur tak aag kā jañgal hai samāñ hai kaisā
mere ajdād ke to ḳhvāb yahāñ dafn nahīñ
ye havelī ye pur-asrār dhuāñ hai kaisā
qabreñ bhī us meñ nahīñ tāj-mahal kī sūrat
koī ābād nahīñ hai ye makāñ hai kaisā
Top Urdushayar.com