Nusrat Gwaliari

kyun falak-ashna kiya tha mujhe

Nusrat Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1938
kyuuñ falak-āshnā kiyā thā mujhe
jab zamīñ par hī pheñknā thā mujhe
ban gayā maiñ kitāb qissoñ kī
us ne ik lafz meñ kahā thā mujhe
ab nagīna hai kal yahī patthar
rāste meñ paḌā milā thā mujhe
us kā aaseb mujh pe barsegā
hādsa ye bhī jhelnā thā mujhe
maiñ naqīb-e-sabā thā phūloñ ne
pattharoñ kī tarah sunā thā mujhe
maiñ sadā sāhiloñ kī kyā suntā
ruḳh havāoñ kā moḌnā thā mujhe
maiñ bahut kaam kā thā us ke liye
aur zaa.e vo kar rahā thā mujhe
ab vo ḳhud ko talāsh kartā hai
jo kabhī mujh meñ DhūñDhtā thā mujhe
bachcha majbūriyoñ ko kyā jaane
ik khilaunā ḳharīdnā thā mujhe
Top Urdushayar.com