dil lagānā chāhiye chal kar kisī haivān se
darj.hā behtar haiñ ye is daur ke insān se
barkateñ jo uTh ga.ī haiñ aaj dastar-ḳhvān se
mezbāñ Darne lage haiñ āmad-e-mehmān se
fasl boī jā.egī sunte haiñ ab mirrīḳh par
dūriyāñ yuuñ baḌh rahī haiñ khet se khaliyān se
kar liyā hai sab ne jaa.ez har amal is khel meñ
garm rakkheñge siyāsat jhuuT se bohtān se
sard hogī ek din ye ātish-e-namrūd bhī
bārhā guzre haiñ ham is karb ke tūfān se
vaqt kī raftār ne sab kā badal Daalā mizāj
shā.erī bhī ho rahī hai ab na.e unvān se
mulk se rishta hamārā hai kuchh aisā hī 'atīq'
jism kā jaise huā kartā hai rishta jaan se