alfāz na de paa.eñ agar saath bayāñ kā
āñkhoñ se bhī le lete haiñ vo kaam zabāñ kā
qātil kī jabīñ par haiñ pasīne kī lakīreñ
shāyad ki asar hai ye mirī āh-o-fuġhāñ kā
āñgan hai na DevḌhī na chamelī kā vo mañDvā
shahroñ ne badal Daalā hai mafhūm makāñ kā
aa.e ho to kuchh der Thahar jaao yahāñ bhī
ham bhī to maza leñ zarā rañgīn samāñ kā
ye soch ke va.ade pe yaqīñ ham ne kiyā hai
kuchh paas to rakkhoge mirī jaan zabāñ kā
is tarz-e-taḳhātub se 'atīq' un ko lagā hai
jaise ki kabhī thā hī nahīñ maiñ to yahāñ kā