kaTī hai umr yahāñ ek ghar banāne meñ
hayā na aa.ī tumheñ bastiyāñ jalāne meñ
banā diyā thā jahāñ ko ḳhudā ne kun kah kar
karoḌoñ saal lage haiñ ise basāne meñ
fareb de ke tumheñ kyā sukūn miltā hai
hameñ to lutf milā hai fareb khāne meñ
atā ho daulat-e-īmāñ hameñ bhī be-pāyāñ
kamī nahīñ hai ḳhudāyā tire ḳhazāne meñ
havā ke madd-e-muqābil charāġh rakh denā
mizāj-e-ishq rahā hai ye har zamāne meñ
'atīq' ye hī duā hai ki rahtī duniyā tak
charāg-e-ilm ho raushan ġharīb-ḳhāne meñ