falak par koī sāzish ho rahī hai
samundar par hī bārish ho rahī hai
haTā.e jā rahe haiñ kaam ke log
nikammoñ par navāzish ho rahī hai
dabāyā jā rahā hai ḳhūbiyoñ ko
jihālat kī numā.ish ho rahī hai
burā.ī chal rahī hai piiTh pīchhe
magar muñh par satā.ish ho rahī hai
navāzā jā rahā hai dushmanoñ ko
vafādāroñ se pursish ho rahī hai
'atīq' ab chal-chalāv kī ghaḌī hai
duāoñ kī guzārish ho rahī hai