Ateeq Muzaffarpuri

aasman gardish mein tha sari zamin chakkar mein thi

Ateeq Muzaffarpuri

āsmāñ gardish meñ thā saarī zamīñ chakkar meñ thī
zalzale ke qahr kī tasvīr har manzar meñ thī
aapsī Takrāv ne āḳhir numāyāñ kar diyā
ek chiñgārī jo barsoñ se dabī patthar meñ thī
maiñ akelā mar rahā thā ghar mirā sunsān thā
raunaq-e-ḳhāna rafīq-e-zindagī daftar meñ thī
kar diyā thā bevgī ke karb ne garche niDhāl
jaltī-bujhtī aañch sī ik barf kī chādar meñ thī
ek hī fiqre ne saarā jism chhalnī kar diyā
dhaar aisī tanziya alfāz ke ḳhanjar meñ thī
ḳhud-numā.ī kam-libāsī sab ne mil kar chhīn lī
qātilāna ik adā jo husn ke tevar meñ thī
rok letī jo parinde ko qafas meñ ai 'atīq'
aarzū aisī na koī bhī dil-e-muztar meñ thī
Top Urdushayar.com