Ateeq Muzaffarpuri

naqus ki sadaon se aur na azan se

Ateeq Muzaffarpuri

nāqūs kī sadāoñ se aur na azaan se
nafrat hai us ko mulk ke amn-o-amān se
millat-farosh ko kisī millat se kyā ġharaz
us ko to hai ġharaz faqat apnī dukān se
chhalnī jo kar gayā thā ayodhya ko raam kī
niklā thā tiir vo bhī usī kī kamān se
apnā banā ke aap ne ye kyā ġhazab kiyā
begāna kar diyā mujhe saare jahān se
dil ko unhīñ se raah bhī hotī hai kuchh 'atīq'
alfāz jo nikalte haiñ dil kī zabān se
Top Urdushayar.com