Ateeq Muzaffarpuri

jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai

Ateeq Muzaffarpuri

jis ko dekho vo giraftār-e-balā lagtā hai
shahar kā shahar hī āseb-zada lagtā hai
machhliyāñ saarī samundar kī laraz uThtī haiñ
koī tinkā bhī agar tinke se jā lagtā hai
ḳhud ko duniyā se hunar-mand samajhne vaalo
ghar se niklo to haqīqat kā patā lagtā hai
dostī pyaar vafā saath nibhāne kī qasam
har amal us kā banāvaT se bharā lagtā hai
ghar ke māhaul meñ is darja ta.affun hai 'atīq'
saañs lenā bhī yahāñ ab to sazā lagtā hai
Top Urdushayar.com