Naushaba Nargis

dil ke be-tartib virane ko ghar usne kiya

Naushaba Nargis

dil ke be-tartīb vīrāne ko ghar us ne kiyā
phir nizām-e-zindagī zer-o-zabar us ne kiyā
aas ke raushan diye rakh kar fasīl-e-shām par
raat ke andhe safar ko be-ḳhatar us ne kiyā
ek us ke dam se har mausam huā rashk-e-bahār
ek shāḳh-e-ārzū ko be-samar us ne kiyā
an-kahe lafzoñ ko baḳhshā ik nayā tarz-e-kalām
an-bahe ashkoñ ko phir la.al-o-gohar us ne kiyā
be-qarārī thī jise sunñe-sunāne ke liye
harf-e-shauq-e-be-karāñ ko muḳhtasar us ne kiyā
ḳhvāb meñ milnā to goyā roz kā ma.amūl thā
is anokhe khel ko yuuñ mo'atabar us ne kiyā
umr-bhar jis ko nigāheñ DhūñDhtī phirtī raheñ
umr-bhar mere ḳhayāloñ meñ basar us ne kiyā
kar rahā thā vo bhī taare toḌ kar laane kī baat
be-sabab lamhoñ kā jaadū be-asar us ne kiyā
kahkashāñ phirtī rahī galiyoñ meñ kis ko DhūñDhtī
log kahte haiñ mire ghar tak safar us ne kiyā
Top Urdushayar.com