sāmān-e-zauq-o-shauq sameTo safar karo
rahnā zarūr hai to kisī dil meñ ghar karo
ḳhud-āshnā nahīñ to mukammal nahīñ hayāt
dil ko asīr-e-halqa-e-ahl-e-nazar karo
ārāsta lahū se bhī hotā hai qasr-e-dil
kuchh aur bhī hasīn ye dīvār-o-dar karo
ubhregā zulmatoñ se na.e din kā āftāb
tārīkiyoñ ke ḳhauf ko nazr-e-sharar karo
pahle ḳhizāñ ke chāk-garebāñ ko dekh lo
phir dāman-e-bahār kī jānib nazar karo