Naushaba Nargis

yun zabt-e-musalsal ka sila kyun nahin dete

Naushaba Nargis

yuuñ zabt-e-musalsal kā sila kyuuñ nahīñ dete
har naqsh-e-tamannā hī miTā kyuuñ nahīñ dete
manzil pe bhī āsūda-e-manzil na huā dil
phir ham ko bhaTakne kī duā kyuuñ nahīñ dete
rah rah ke sulagte haiñ ḳhayāloñ meñ na.e ġham
yādoñ ke saman-zār jalā kyuuñ nahīñ dete
us se to hikāyāt-e-junūñ aur baḌheñgī
chup kyuuñ ho koī baat banā kyuuñ nahīñ dete
dil hai to kahīñ nazr karo kaam to aa.e
sar hai to kisī dar pe jhukā kyuuñ nahīñ dete
ā.īn-e-karam bhuul ga.e ahl-e-nazar bhī
māhaul ko aa.ina dikhā kyuuñ nahīñ dete
miltā hai pata jin ko tire naam se apnā
vo log hameñ terā pata kyuuñ nahīñ dete
kaise maiñ pukāroñ ki bahut duur huuñ tum se
tum dil ke qarīñ ho to sadā kyuuñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com