dard kī dīvār sar tak aa ga.ī
dil kī bīnā.ī nazar tak aa ga.ī
ret par naqsh-e-qadam ko DhūñDhtī
zindagī shām-o-sahar tak aa ga.ī
raushnī kā rañg phīkā paḌ gayā
tīrgī dīvār-o-dar tak aa ga.ī
sub.h chamkī yā koī taarā girā
chāñdnī sī mere ghar tak aa ga.ī
aur hoñge jin ko manzil mil ga.ī
justujū tark-e-safar tak aa ga.ī
band darvāze pe khaTkā sā huā
baat itnī sī ḳhabar tak aa ga.ī
raat ke pichhle pahar yādoñ kī dhuup
dhyān ke būḌhe shajar tak aa ga.ī
us kā naam aayā to kaliyāñ khil uThīñ
baat phir shams-o-qamar tak aa ga.ī