Naushaba Nargis

KHwab ki khiDki se usko dekhna achchha laga

Naushaba Nargis

ḳhvāb kī khiḌkī se us ko dekhnā achchhā lagā
niiñd ke āñgan meñ shab-bhar jāgnā achchhā lagā
shahr-e-nā-pursāñ thā yuuñ bhī kaun kis ko pūchhtā
ek pal ko us kā muḌ kar dekhnā achchhā lagā
saath thā sahrā meñ bhī vo har-qadam sāya-sifat
is tarah shahr-e-ḳhirad se lauTnā achchhā lagā
ban gayā ik khel sā auroñ meñ ḳhud ko DhūñDhnā
kūcha kūcha qarya qarya ghūmnā achchhā lagā
ḳhvāb kaisā thā ki saarī umr āñkhoñ meñ rahā
dhyān kis kā thā ki pahroñ sochnā achchhā lagā
chāñdnī rātoñ meñ aksar jaag kar sochā jise
us kā raste meñ achānak sāmnā achchhā lagā
fasl-e-gul aa.ī to kyā kyā sūrateñ bāham huiiñ
chehra chehra ek sūrat DhūñDhnā achchhā lagā
kahkashāñ kī kahkashāñ merī galī meñ aa ga.ī
kaisī aahaT thī ki khiḌkī kholnā achchhā lagā
jaane kyā khoyā ki ab tak DhūñDte phirte haiñ ham
jaane kyā paayā ki sab kuchh bhūlnā achchhā lagā
Top Urdushayar.com