Rakib Mukhtar

charagh bujhne lage aur chhai tariki

Rakib Mukhtar

Shorkot, Punjab, Pakistan

1987
charāġh bujhne lage aur chhā.ī tārīkī
chukā rahā thā maiñ qīmat havā se yaarī kī
tū soch bhī nahīñ saktā jis ehtimām ke saath
kaTe shajar pe parindoñ ne āh-o-zārī kī
vo jis kā ishq mirā juzv-e-rūh ban gayā thā
usī ne mujh se mohabbat bhī iḳhtiyārī kī
tumhārā vajd meñ aanā faqat dikhāvā thā
vo kaifiyat hī nahīñ thī jo ḳhud pe taarī kī
tumhāre shahr kī hurmat kā paas rakhte hue
adū koī na banāyā sabhī se yaarī kī
jahāñ ḳhudā kī azaañ ho rahī ho giit kī nazr
sunegā kaun vahāñ par sadā bhikārī kī
Top Urdushayar.com