safar ke naqshe meñ chatiyal zamīñ banā.ī ga.ī
ki us meñ ek bhī jhāḌī nahīñ banā.ī ga.ī
ye sarhadeñ to bahut ba.ad meñ banīñ pahle
diloñ kī tarah kushāda zamīñ banā.ī ga.ī
ghuTe ghuTe se ka.ī dost bhī to rahne haiñ
ye soch kar hī khulī āstīñ banā.ī ga.ī
ġhazal ġhazal meñ baḌā farq hai mire bhaa.ī
kahīñ utārī ga.ī hai kahīñ banā.ī ga.ī
kisī ne rañgoñ meñ 'rākib' gulāb gūñdhe nahīñ
kisī se shakl tumhārī nahīñ banā.ī ga.ī