Rakib Mukhtar

main kho gaya tha koi shai talash karte hue

Rakib Mukhtar

Shorkot, Punjab, Pakistan

1987
maiñ kho gayā thā koī shai talāsh karte hue
parā.e shahr meñ apne talāsh karte hue
phir ek sub.h mujhe aañkh phoḌnā paḌī thī
hasīn ḳhvāb ke reshe talāsh karte hue
maiñ sūkhe peḌ se aksar kalām kartā thā
havā-e-sabz ke lahje talāsh karte hue
ham un parindoñ ke jaise haiñ jo zamīñ pe tirī
shikār ho ga.e daane talāsh karte hue
kabhī kabhī to mukammal ġhazal se miltā huuñ
suḳhan ke shahr meñ misre talāsh karte hue
kahīñ kahīñ to mujhe aañkh ḳharch karnā paḌī
nafīs paañv ke chhāle talāsh karte hue
Top Urdushayar.com