kahāñ giraft meñ ab māh-o-sāl ke mausam
bikharte jaate haiñ tere visāl ke mausam
tire javāb ke vaqfe tavīl kitne haiñ
guzarte jaate haiñ mere savāl ke mausam
har ek phuul kalī ko bulā rahā hai qarīb
chaman meñ aa.e haiñ ab ke kamāl ke mausam
maiñ Dūbtī huuñ kināroñ pe aur kahtī huuñ
kabhī na dekhe the aise zavāl ke mausam
tū apnī aañkh meñ tāb-e-bahār lā to sahī
jahān bhar meñ haiñ husn-o-jamāl ke mausam
ki jaise zehn meñ ahd-e-ḳhizāñ utar aayā
bahut hī zard hue haiñ ḳhayāl ke mausam