tumhāre saath ka.ī rābte nazar aa.e
ġhamoñ ke daur talak silsile nazar aa.e
girā thā zehn ke dariyā meñ soch kar kañkar
phir us ke ba.ad ka.ī dā.ere nazar aa.e
jahāñ jahāñ pe tavaqqo thī manziloñ kī hameñ
vahāñ vahāñ pe na.e rāste nazar aa.e
har ek samt manāzir the shahr-e-māzī ke
jidhar nigāh uThī aa.ine nazar aa.e
safar kaThin to na lagtā thā chāhatoñ kā magar
jo chal paḌe to ka.ī marhale nazar aa.e
jahāñ pe Duub gayā thā vo shaḳhs dariyā meñ
vahāñ se uThte hue bulbule nazar aa.e
ham apnī jaan hathelī pe rakh ke ghar se 'nasīm'
nikal paḌe to ka.ī mo.ajize nazar aa.e