Fakhr Abbas

ghar se tumhaari di hui chizen nikal den

Fakhr Abbas

Sheikhupura, Punjab, Pakistan

1978
ghar se tumhārī dī huī chīzeñ nikāl deñ
jaise ḳhud apne jism se sāñseñ nikāl deñ
dekhā bas ik dafa use maiñ ne qarīb se
phir ahl-e-shahr ne mirī āñkheñ nikāl diiñ
hairat hai us ne qaid bhī ḳhud hī kiyā mujhe
phir ḳhud mire farār kī rāheñ nikāl diiñ
kuchh us ne bhī saheliyoñ ke muñh se sun liyā
kuchh mere dostoñ ne bhī bāteñ nikāl diiñ
ik pal meñ ḳhatm ho ga.ī umr-e-tavīl bhī
jab zindagī se hijr kī rāteñ nikāl diiñ
jaane vo kis ke vāste likhī ga.iiñ ai dost
maiñ ne musavvade se jo nazmeñ nikāl diiñ
Top Urdushayar.com