resham zulf ke taar bhī bāteñ karte haiñ
us ke to ruḳhsār bhī bāteñ karte haiñ
itnā vaqt maiñ detā huuñ us laḌkī ko
ab to mere yaar bhī bāteñ karte haiñ
sau afsāne ban jaate haiñ donoñ ke
ham donoñ do chaar bhī bāteñ karte haiñ
har ik sher nahīñ ho saktā achchhā sher
shā.ir kuchh be-kār bhī bāteñ karte haiñ
itne zaḳhm dikhātā huuñ maiñ aa.e din
mujh ko to ġham-ḳhvār bhī bāteñ karte haiñ