Fakhr Abbas

roti hui aankhon ka wo manzar nahin dekha

Fakhr Abbas

Sheikhupura, Punjab, Pakistan

1978
rotī huī āñkhoñ kā vo manzar nahīñ dekhā
chhoḌ aa.e to phir ham ne palaT kar nahīñ dekhā
kuchh vo bhī samajhne kā takalluf nahīñ karte
kuchh ham ne zabāñ se kabhī kah kar nahīñ dekhā
shāyad usī kamyāb ko kahte haiñ tabassum
ham ne tire chehre pe jo aksar nahīñ dekhā
ham husn ba-andāz-e-hasīñ dekhne vaale
sach baat hai tujh sā koī paikar nahīñ dekhā
is zaḳhm kā zālim ko to ehsās bahut hai
jis zaḳhm ko ham ne kabhī gin kar nahīñ dekhā
ham ko to sar-e-hashr thī ik aur kasak bhī
jaate hue ham ne ruḳh-e-dilbar nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com