Fakhr Abbas

chehre se kab ayan hai mere iztirar bhi

Fakhr Abbas

Sheikhupura, Punjab, Pakistan

1978
chehre se kab ayaañ hai mire iztirār bhī
lekin maiñ kar rahā huuñ tirā intizār bhī
shāyad tujhe ho dastaras apne vajūd par
mujh ko to is nazar pe nahīñ iḳhtiyār bhī
milne lage haiñ ab to ḳhushī ke libās meñ
ġham-hā-e-zindagī kā hai koī shumār bhī
ho laakh ḳhūb-rū koī apne ta.iiñ magar
hotā hai aks-o-ā.ine par inhisār bhī
yakjā huī haiñ husn kī sab us meñ ḳhūbiyāñ
chehre pe tāzgī hai nazar meñ ḳhumār bhī
lagtā hai jān-būjh ke aisā kiyā gayā
tū ne banā.ī chiiz koī pā.edār bhī
mahzūz ham bhī hoñge jo fursat kahīñ mile
gulshan bhī hai gulāb bhī rañg-e-bahār bhī
Top Urdushayar.com