ġhazleñ likh likh pāgal hone vaalā huuñ
jhuuT nahīñ ab sach meñ rone vaalā huuñ
bāteñ karnā phone pe jaan ab chhoḌo bhī
ḳhvāb meñ aao maiñ bhī sone vaalā huuñ
haath pakaḌ kar rok lo merī jaan mujhe
phir duniyā kī bhiiḌ meñ khone vaalā huuñ
aur na mailā kar duuñ us ke dāman ko
daaġh jo us ke dil se dhone vaalā huuñ
us ko kis ummīd pe apnā bol diyā
maiñ to aur kisī kā hone vaalā huuñ
galī galī bahlātā phirtā bachchoñ ko
tum samjho ik shaḳhs khilaune vaalā huuñ
kāġhaz ke ye phuul mahakte thoḌī haiñ
maiñ lafzoñ ke haar pirone vaalā huuñ