us ne kiyā hijāb mire dekhne ke ba.ad
us ko milā savāb mire dekhne ke ba.ad
sūrat pe chār-chāñd lage the janāb kī
ye bhī thā inqalāb mire dekhne ke ba.ad
merī nazar se Dāliyāñ chhū kar harī huiiñ
khilne lage gulāb mire dekhne ke ba.ad
itnā maiñ sher-fahm nahīñ huuñ magar yahāñ
chhapte haiñ intiḳhāb mire dekhne ke ba.ad
khultā hī jā rahā hai kisī ruḳh ke rū-ba-rū
sharm-o-hayā kā baab mire dekhne ke ba.ad
pahle nazar uThā ke mujhe dekhte bhī the
lekin ye ijtināb mire dekhne ke ba.ad
merī nazar meñ dosto shiddat balā kī thī
TuuTā paḌā thā ḳhvāb mire dekhne ke ba.ad