junūn ḳhatm huā e'tidāl rah gayā hai
biphar rahā thā jo dariyā niDhāl rah gayā hai
jise duā ke sahāre pe ibtidā kiyā thā
guzar gayā hai vo mausam vo saal rah gayā hai
tumhāre sard ravayye se saaf zāhir hai
hamārā kuchh to ta.alluq bahāl rah gayā hai
jhaTak ke haath chalā hai baḌī hī ujlat meñ
zarā Thahar ki zarūrī savāl rah gayā hai
ki dil meñ Tiis bhī uThtī hai der der ke baad
tirā ḳhayāl bhī ab ḳhāl-ḳhāl rah gayā hai
gayā hai jo bhī use rauñd kar gayā āḳhir
ye bāġh-e-ḳhvāb-numā pā.emāl rah gayā hai
charāġh-e-hijr se ubhrī hai ik dhueñ kī lakīr
so dard bujh gayā hai aur malāl rah gayā hai