abas vajūd kā dukh tañgī-e-hayāt kā dukh
ki dil ne paalā huā hai har ek zaat kā dukh
talāsh-e-jannat-o-dozaḳh meñ rā.egāñ insāñ
zamīñ pe roz manātā hai kā.enāt kā dukh
ka.ī jhameloñ meñ uljhī sī bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kāġhzāt kā dukh
ga.e dinoñ kā koī ḳhvāb dafn hai shāyad
ki ab bhī aañkh se ristā hai bāqiyāt kā dukh
maiñ aal se huuñ shah-e-karbalā kī so mujh ko
chanāb se bhī milā hai vahī furāt kā dukh
na jaane mālik-e-kun kis tarah nibhātā hai
ye dastaras kī suhūlat ye mumkināt kā dukh