Saima Aftab

abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh

Saima Aftab

Talagang, Punjab, Pakistan

1976
abas vajūd kā dukh tañgī-e-hayāt kā dukh
ki dil ne paalā huā hai har ek zaat kā dukh
talāsh-e-jannat-o-dozaḳh meñ rā.egāñ insāñ
zamīñ pe roz manātā hai kā.enāt kā dukh
ka.ī jhameloñ meñ uljhī sī bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kāġhzāt kā dukh
tamām din kī musībat to baañT lī ham ne
kabhī kahā hī nahīñ apnī apnī raat kā dukh
ga.e dinoñ kā koī ḳhvāb dafn hai shāyad
ki ab bhī aañkh se ristā hai bāqiyāt kā dukh
imām-e-tishna kī aulād Thahrī huuñ āḳhir
so mujh ko yaksāñ milā rāvī-o-furāt kā dukh
na jaane mālik-e-kun kis tarah nibhātā hai
ye dastaras kī suhūlat ye mumkināt kā dukh
Top Urdushayar.com