mujh meñ ab nahīñ baaqī hausla bichhaḌne kā
multajī huuñ denā mat indiya bichhaḌne kā
is se baḌh ke kyā hotā zindagī ke dāman meñ
ek ġham hai hone kā dūsrā bichhaḌne kā
pyaar aur tavaqqo.a ke silsile na baḌh jaa.eñ
is jagah munāsib hai sochnā bichhaḌne kā
aap kī suhūlat bas ham aziiz rakhte haiñ
maañg lo atā hogā rāsta bichhaḌne kā
har milan judā.ī kī avvalīn manzil hai
vasl hī se juḌtā hai silsila bichhaḌne kā
be-sukūn shāmoñ se be-yaqīn sub.hoñ tak
tai huā hai āḳhir har marhala bichhaḌne kā
bhāñp to ga.e the ham saath aarzī hai ye
jān-e-man magar phir bhī dukh huā bichhaḌne kā