ġham-e-hijrāñ kī maarī DhūñDhtī hai
havā ḳhushbū tumhārī DhūñDhtī hai
Dagar pe chalne vaalī zindagī bhī
kabhī be-aḳhtyārī DhūñDhtī hai
yakāyak ho gayā hai ḳhauf ruḳhsat
ki ab hirnī shikārī DhūñDhtī hai
ajal ik ālam-e-vahshat meñ raqsāñ
sabhī ko baarī baarī DhūñDhtī hai
parinde khoj meñ nikle hue haiñ
mujhe sub.h-e-bahārī DhūñDhtī hai