dīn-o-duniyā bhulā ke baiThe haiñ
rañg aisā chaḌhā ke baiThe haiñ
ishq bhī maqsad-e-hayāt nahīñ
ishq ko aazmā ke baiThe haiñ
ek shikvoñ bharā kiyā massage
ek picture jalā ke baiThe haiñ
phir muravvat meñ jast bhar lī aur
phir na.ī choT khā ke baiThe haiñ
baat se baat ban paḌe apnī
baat aage baḌhā ke baiThe haiñ
jo mirā saath dene nikle the
ab vahī laḌkhaḌā ke baiThe haiñ
ham use yaad kar sakeñ far-far
is liye paas aa ke baiThe haiñ