Saima Aftab

ai ranj-e-agahi koi chaara to hoga na

Saima Aftab

Talagang, Punjab, Pakistan

1976
ai rañj-e-āgahī koī chāra to hogā nā
chal ḳhush na rah sakeñge guzārā to hogā nā
ye aarzū bhī vaqt ke dhāre meñ bah ga.ī
ab naañ sahī kabhī vo hamārā to hogā nā
jaatī hai jo matā-e-dil-o-jāñ to kyā malāl
ye ishq kī dukāñ hai ḳhasāra to hogā nā
har aan jis kā zikr hai us be-niyāz ne
bhūle se merā naam pukārā to hogā nā
maiñ zād-e-rah ke taur pe bas ḳhvāb laa.ī huuñ
ai ham-safar tujhe ye gavārā to hogā nā
kyā ajnabī baneñge agar phir kabhī mile
kyā baat bhī na hogī ishāra to hogā nā
karnā karānā chhoḌ zabānī hī saath de
tinke kā ho agarche sahārā to hogā nā
Top Urdushayar.com