Saima Aftab

taghaful be-niyazi ka gila kafi nahin hai

Saima Aftab

Talagang, Punjab, Pakistan

1976
taġhāful be-niyāzī kā gilā kaafī nahīñ hai
mirā rasta hī roko ab sadā kaafī nahīñ hai
ye gahrī kaalī āñkheñ dekh to kyā kah rahī haiñ
inheñ pāband rakhne ko vafā kaafī nahīñ hai
tumhāre kāsa-e-ulfat meñ kuchh sikke uchhāle
tumhārā dil lubhāyā ye sila kaafī nahīñ hai?
zamīnī baat hai Thahregī āḳhir justujū par
hamesha saath rahne kī duā kaafī nahīñ hai
nibhānā hai bahar-sūrat ye kārobār-e-duniyā
ki ishq-o-āshiqī kā silsila kaafī nahīñ hai
chalo achchhā huā raftār to kam ho ga.ī par
bichhaḌ jaane ko ab bhī fāsla kaafī nahīñ hai
jamāl-e-kā.enātī mo.ajiza hai husn-e-kun kā
yahāñ par irtiqā kā falsafa kaafī nahīñ hai
Top Urdushayar.com