aa jaatā hai ḳhud paas bulānā nahīñ paḌtā
milne ke liye haath baḌhānā nahīñ paḌtā
kuchh aisī suhūlat se makīñ dil meñ huā vo
mujh ko bhī mirī zaat se jaanā nahīñ paḌtā
ye ḳhaas ri.āyat hai ki ab des meñ apne
ġham muft meñ miltā hai kamānā nahīñ paḌtā
is shahr se us shahar talak sīdhī saḌak hai
filhāl to raste meñ zamāna nahīñ paḌtā
afsāna-e-hastī bhī bahut ḳhuub hai jis meñ
kirdār koī sā bhī nibhānā nahīñ paḌtā
ik karb-e-musalsal ki mirā pahlū-nashīñ hai
ik lutf-e-darūñ jis ko gañvānā nahīñ paḌtā
ab lohā ugāte haiñ daraḳhtoñ kī jagah ham
koyal ko bhī ab shor machānā nahīñ paḌtā