gumān paḌtā yahī hai ki rahbarī huī hai
ye apnī raah kisī raah se juḌī huī hai
hazār abr-e-mohabbat yahāñ baras bhī chuke
bas ek shāḳh-e-tamannā nahīñ harī huī hai
milī thī ham ko ḳhudā se bahisht ke badle
magar ye zindagī me.aar se girī huī hai
ufuq pe phailā huā hai firāq-e-yār kā rañg
udaas shaam mirī god meñ paḌī huī hai
uThā le haath mire chāragar ki is dil meñ
salīb-e-hasrat-e-ġham mustaqil gaḌī huī hai