gumān paḌtā yahī hai ki rahbarī huī hai
ye apnī raah kisī raah se juḌī huī hai
hazār abr mohabbat yahāñ baras bhī chuke
bas ek shāḳh-e-tamannā nahīñ harī huī hai
guzishta shab se vo hai shahr meñ kahīñ maujūd
fazā meñ ḳhushbū-e-vābastagī rachī huī hai
milī thī ham ko ḳhudā se bahisht ke badle
magar ye zindagī me.aar se girī huī hai
ufuq pe phailā huā hai firāq-e-yār kā rañg
udaas shaam mirī god meñ paḌī huī hai