mirī biptā bhī kitnī dukh-bharī hai
jise taqdīr sun kar hañs rahī hai
yahāñ sochoñ ke par kaise khuleñge
mahz jismoñ pe sab duniyā rukī hai
mujhe bhejā to puurā thā ḳhudā ne
magar hissoñ kī qīmat lag rahī hai
kahāñ kā ishq aur kaisī mohabbat
havasnākī kī ik manDī sajī hai
maiñ fardā faḳhr-e-ādam kyuuñ nahīñ thī
bahut arzāñ mirī bolī lagī hai