Aditya Pant Naaqid

girta raha main rah mein lekin sambhal gaya

Aditya Pant Naaqid

Delhi, India

1971
girtā rahā maiñ raah meñ lekin sambhal gayā
maiñ aaj kis maqām kī jānib nikal gayā
sochā kiyā thā raah ye āsān hai magar
pahle qadam pe paañv mirā kyuuñ phisal gayā
adnā sā ik fareb thā badlā jo ye libās
aafat to tab paḌī ki maiñ jab ḳhud badal gayā
āñkheñ thī sharmsār kahīñ chain bhī nahīñ
us ke magar ḳhayāl se ye dil bahal gayā
ho gar ḳhatā sazā kā muqarrar hai ek din
'nāqid' zahe-nasīb ki vo vaqt Tal gayā
Top Urdushayar.com