āsūda dil meñ uThne lagā iztirāb kyā
is zindagī meñ ho gayā shāmil shitāb kyā
qāsid ke haath apnā ye paiġhām sauñp kar
phir sochte raho ki ab aa.e javāb kyā
us kā hai fazl zarra jo chamke ba-sān-e-zar
hai varna kyā ye maah bhī aur āftāb kyā
hai niiñd se koī bhī ta.alluq nahīñ mirā
har dam ye chashm-e-vā meñ ubhartā hai ḳhvāb kyā
kyā fat.h-yāb ho sakā hai koī teġh se
phir bhī hai darmiyān-e-mamālik zirāb kyā
hogā jo e'tibār ta.ammul rahegā kyā
kāmil supurdagī ho to sharm-o-hijāb kyā
mumkin kahāñ ho haath meñ 'nāqid' tire qur.āñ
kāfir batā hai sāmne tere kitāb kyā