hai kyā ḳhizāñ meñ mumkin sahrā meñ baaġh nikle
zulmat ko jo miTā.e aisā charāġh nikle
shor-e-safīr-e-bulbul se gūñjtā thā kal tak
kyuuñ aaj mere ghar meñ rone ko zaaġh nikle
dāġh-e-qamar se āḳhir jab āshnā huā maiñ
jitne raqīb paa.e un meñ na daaġh nikle
Dartā thā maiñ na aa.e vaqt-e-firāq mujh par
kuchh vasl se tire ab haul-e-dimāġh nikle
ho justujū meñ jis kī hai vo mazār kaisā
kyā apnī qabr kā tum lene surāġh nikle
maiñ thak chukā huuñ 'nāqid' tarġhīb-e-zindagī se
chāhūñ ufuq se āḳhir roz-e-farāġh nikle