apnoñ kī TūTtī huī tasvīr dekh lī
aġhyār kī bhī chaah meñ tāsīr dekh lī
aayā nahīñ hai hosh nigāhoñ ko ab talak
bikhre hue jo ḳhvāboñ kī ta.abīr dekh lī
kyā māñgtā maiñ terī pashemānī kā subūt
āñkhoñ se bahte ashkoñ meñ ta.azīr dekh lī
ab tak dikhe parinde asīr-e-qafas magar
sayyād ke bhī haath meñ zanjīr dekh lī
thā jis ke pech-o-ḳham pe ye saarā jahāñ fidā
lo ham ne bhī vo zulf-e-girah-gīr dekh lī
'nāqid' hai be-zabān khaḌā dar pe nāma-bar
chehre pe us ke aap kī tahrīr dekh lī