dekheñ ab kyā dil-jaloñ se bol bole jā.eñge
laag hī se phuuT kyā dil ke phaphole jā.eñge
hai yahāñ paimāna māl-o-naqd hī lekin vahāñ
zarf kī mīzān par hī log tole jā.eñge
mash.al-e-māzī dikhā saktī hai mustaqbil kī raah
hai ye kunjī jis se saare qufl khole jā.eñge
yaad rakhne ke liye lamhe guzishta vaqt ke
ab kitāb-e-māzī ke panne TaTole jā.eñge
tauba tauba kis qadar muñh se Tapaktī hai shakar
is zabāñ se mīThe mīThe zahr ghole jā.eñge
ruuh kī bosīdgī ko dafn karne ke liye
dekhiyegā badle kis kis tan ke chole jā.eñge
hai sarāhā ḳhuub ye paivand-kārī kā hunar
rishta-dar-rishta sabhī ab pech khole jā.eñge
peñg baḌhtī jaa.e amrā.ī meñ jyuuñ jyuuñ din chaḌhe
shaam hote tak utāre sab hiñDole jā.eñge
lījiye dīvān-e-'nāqid' aap hī ke naam hai
ham kahāñ in be-tuke ash.ār ko le jā.eñge