Arsh Sahbai

gham-e-mazi gham-e-hazir gham-e-farda ke siwa

Arsh Sahbai

ġham-e-māzī ġham-e-hāzir ġham-e-fardā ke sivā

zindagī kuchh bhī nahīñ ḳhūn-e-tamannā ke sivā

dekhte dekhte naav kahāñ Duub ga.ī

kis ko ma.alūm hai tuġhyānī-e-dariyā ke sivā

un se rūdād-e-sitam kahiye to kyuuñ kar kahiye

jin ko kuchh yaad nahīñ shikva-e-bejā ke sivā

mere is hāl-e-pareshāñ ḳhabar kis ko nahīñ

sab pe zāhir hai haqīqat ye masīhā ke sivā

mushkileñ TuuT paḌīñ jab bhī havādis tarah

koī apnā na huā ik dil-e-tanhā ke sivā

paañv meñ jitne bhī chhāle the sabhī phuuT paḌe

koī samjhā na mire dard ko sahrā ke sivā

'arsh' kal raat jo mahfil meñ hue hañgāme

jāntā kaun hai vo sāġhar-o-sahbā ke sivā

Top Urdushayar.com