Arsh Sahbai

zindagi kuchh soz hai kuchh saz hai

Arsh Sahbai

zindagī kuchh soz hai kuchh saaz hai
duur tak bikhrī huī āvāz hai
ḳhāmushī us kī hai misl-e-guftugū
har nazar jazbāt kī ġhammāz hai
kis tarah zinda huuñ tujh ko dekh kar
zindagī mujh par tabassum-sāz hai
jāñ-fazā naġhmāt kā ḳhāliq hai ye
dil agarche ik shikasta saaz hai
is tarah qaa.em hai raqs-e-zindagī
saaz us kā hai mirī āvāz hai
kyā batā.ūñ aaj ke is daur meñ
aadmī kitnā zamāna-sāz hai
is liye rakhtā huuñ maiñ us ko aziiz
haq-parastī ruuh kī āvāz hai
bāḳhtan hai pattharoñ kī sarzamīñ
phir bhī mujh ko is pe kitnā naaz hai
manzil-e-maqsūd tak pahuñchegī 'arsh'
ruk na pā.egī mirī āvāz hai
Top Urdushayar.com