nahīñ thā koī bhī phir bhī thiiñ āhaTeñ kyā kyā
tamām-rāt huiiñ dil pe dastakeñ kyā kyā
na miT sake kisī sūrat bhī mere dil ke shokūk
tirī nigāh ne kī haiñ vazāhateñ kyā kyā
ye aarzū hai ki in meñ ho koī tujh jaisā
nazar meñ ghūmtī rahtī sūrateñ kyā kyā
kisī ke tarz-e-taġhāful pe kis liye ilzām
mujhe to ḳhud se rahī haiñ shikāyateñ kyā kyā
simaT ga.e haiñ mohabbat ke dā.eroñ meñ ham
bikhar ga.ī haiñ fazā.eñ hikāyateñ kyā kyā
ḳhud apnī zindagī bhī apnī dastaras meñ nahīñ
qadam qadam pe badaltī hai karvaTeñ kyā kyā
kisī kī chashm-e-tavajjoh na uTh sakī mujh par
mirī nazar meñ thiiñ varna guzārisheñ kyā kyā
ye rañg laa.ī hai ahbāb kī ḳhirad-mandī
ujaḌ ke rah ga.iiñ mahfil kī raunaqeñ kyā kyā
tamām valvale vo sard paḌ chuke ai 'arsh'
hamāre dil meñ thiiñ varna harārateñ kyā kyā