kashtī-e-dil nazr-e-tūfāñ ho ga.ī
ek mushkil aur āsāñ ho ga.ī
sub.h-dam shabnam ko jaane kyā huā
sohbat-e-gul se gurezāñ ho ga.ī
us nazar kī sādgī to dekhiye
jo tire jalvoñ pe qurbāñ ho ga.ī
phuul ko hairat-zada sā dekh kar
har kalī gulshan meñ hairāñ ho ga.ī
mere pahlū se vo uTh kar kyā ga.e
dil kī duniyā saḳht vīrāñ ho ga.ī
dil kī paiham be-qarārī ke nisār
baḌhte baḌhte āfat-e-jāñ ho ga.ī
dekh kar merī pareshānī ko 'arsh'
zindagī ḳhud bhī pareshāñ ho ga.ī