Arsh Sahbai

ye aaina tha magar gham ki rahguzar mein tha

Arsh Sahbai

ye aa.ina thā magar ġham kī rahguzār meñ thā
aTā huā mirā dil dard ke ġhubār meñ thā
qadam qadam pe ka.ī rañg ke the hañgāme
ajiib lutf sitam-hā-e-rozgār meñ thā
na kar sakā maiñ farāmosh us kī koī baat
mirā ḳhayāl ki ye mere iḳhtiyār meñ thā
junūñ ke dasht meñ paiham bhaTak rahā thā dil
magar ye zehn haqā.eq ke kār-zār meñ thā
girā jo palkoñ se ik ashk kah gayā sab kuchh
kahāñ fasāne meñ jo lutf iḳhtisār meñ thā
khule hue the ka.ī maslahat ke darvāze
magar ye dil thā ki Duubā huā vaqār meñ thā
kise pukārte ham rāh-e-zindagī meñ 'arsh'
har ek shaḳhs ḳhud apne hī intizār meñ thā
Top Urdushayar.com